Sunday, 30 October 2011


Koi tuti hui meri kasti ka sahara ban jata........

Koi tuti hui meri kasti ka sahara ban jata.........
koi ruthi hui meri kismat ka chamkta sitara ban jata..........

Har tarf se mila hai gum aur dhoke ka safer..........
koi isss gum aur dhoke ka hamsafer ban jata ......

me ye ni kehta k hr kisi se dhoka mile hai muje.........
... pe hr milane wale dhoke a pata de jata.....

ho gai barbad meri muhaabbat uske jane ke baad.........
Pr mohaabaat ki ye saza to hame bata jata..........

Tum To Abhi Say.....

Tum To Abhi Say Mubtala-e-Khof-e-Hijr ho,

Tum Chor Do,Tum Sa Nhi Hoge Ye Muhabbat…!!!

Dil ki hasrat Adhuri reh gayi......

Dil ki hasrat Adhuri reh gayi,
jaane koun so Majburi reh gayi.

Saare lafz chura le gaya koi,
Zuban pe sirf khamoshi reh gayi.

Usne daman gair ka thaam liya,
Nazar meri dekhti reh gayi.

woh chord kar chal gaya mujhe,
shayad pyar main koi kami reh gayi.

Monday, 24 October 2011


Mere is dil ki keetabon ki tarha,
Puchtey hain wo bhi sawal jawabon ki tarha,
Wo agar kholtey hain pani ki tarha,
To hum bhi jaltey hain aaftabon ki tarha,
Wo koi phool ho nahi saktey,
Unki khushboo hai sharabon ki tarha,
Dil mai aata hai unka ho jaoon,
Mai bhi gulshan ke gulabon ki tarha,
Unse rakhta hoon mai dua e kher,
Unse rishta hai mera janabon ki tarha,
Wo unke hont surkh sholo se ’shamsh’
Dekhney mai hain kababon ki tarha,

Na wo farishta ho..

Na wo farishta ho Na farishtay Jaisa ho …
Mujhay Talash hai us ki jo mere Jaisa Ho …
Mere Khaloos ko Pehnchanta ho Bus Kafi hai …
Woh Koi b ho Kahin b Ho Kaisa Ho …
Ager kabhi Roth jaown main us say To…
Muskura k Manay Wo aisa ho …
Dukhon main Hasnay ka Hunar Janta ho …
Ek aisa Hum Safar Jo Samander ki tarah Gehra ho …
Umer Bher Sath chalay Woh Aisa ho …
Mujhay talsh hai us ki Jo mere Jaisa ho …

Mohabat khud batati hai...

Mohabat khud batati hai
Kahan kiska thikana hai
Kisay aankhon main rakhna hai
Kisay dil main basana hai
Reha karma hai kisko aur
Kisay zanjeer karma hai
Mitana hai kisay dil say
Kisay tehreer karma hai
Issay malom hota hai
Safar dushwar kitna hai
Kisi ki chasm-e-girya main
Chupa iqrar kitna hai
Shajar jo girnay wala hai
Wo saya daar kitna hai
Mohabbat khud batati hai
Kahan kiska thikana hai..!

itna bi apni....


itna bi apni zaat se koi juda na ho
nikle teri talaash mein apna pata na ho
dekho kay phir hawaon kay tevar badal gai
sahil ki rait par koi kuch likh raha na ho
tanhaian kuch is tarha basti hain mery saath
aakaas bi jesay shajar se juda na ho
na kar to mery jism kay zakhmon kay yoon hisab
ye deekh tery? haat main pathar bacha na ho
apno se bi miloon to ye khouf sa rahe
chehre ke peechay or koi chehra chupa na ho
Wo kehti hai k mujhay tum say muhabbat nahi
Tu batao phir
Wo mujhay apni rooh mein utarti kyou hai?
Wo mujhay apnay andar samati kyou hai?
Meray janay par roti kyou hai?
Mein rooth jaon manati kyou hai?
Tu batao phir
Kya yeh muhabbat ki nishani nahi?
Kya wo mujh say muhabat karti nahi?

Pass wo itna tha jaisay dil aur dharkan
Dekhta tu hum dono mein fasla bhi bohat tha
Milnay ki tarhan hum mil na paye thay kabhi
Mera aur uska rabta bhi bohat tha
Itnay arsay mein bhi usay mujh par aitbar na aya
Ye sach hai wo mujhay janta bhi bohat tha
Wo mil kar bhi na mil saka ye muqadar ki baat hai
Meinay duaaon mein usay manga bhi bohat tha
Ruswaai k dar say wo rakh na saka muhabbat ka bharam
Laikin yeh sach hai k wo mujhay chahta bhi bohat tha<

Kon Kitna Bara.......

Kon Kitna Bara Fareebi Hai?
Aao Ek Sham?
Hum Mohabbat Se..
Apni Apni HatheeliYan Dekahin..


Khawahishon k angan mein.....

Khawahishon k angan mein raat din baseray thy…
Titliyan tmhari thien or phool mere thy…
Chand asmanon se jb zameen pe utra tha…
Daikhnay mein raatain thien asal mein saweray thy…
Tere pass basnay ki khai thi kasam leikin…
Shehar bhi praya tha loog bhi luteray thy…
Lut gaye hm dono to qasoor kis ka hy…
Khawahishen bhi teri thien faislay bhi tere thy..


Fark hota hai khuda aur peer mein....

Fark hota hai khuda aur peer mein....


Fark hota hai kismat aur taqdeer mein....


Agar kabhi kuch chaho aur wo na mile to....


Samajh lena ki kuch aur achcha likha hai taqdeer mein..!!


Sunday, 23 October 2011

Wo jisey smajhtay thay zindagi.....!!!


Wo jisey smajhtay thay zindagi,

Meri dharkanon ka faraib thaa,

Mujhey muskrana sikha k wo,

Meri rooh tak ko rula gaya,

Wo k jis ko paney ki chah main,

Main kabhi khilta gulaab thaa,

Meri pati pati bikhar gayi,

Mujhey aisi thoukar laga gaya,

Ajab shaks thaa wo ay zindagi,

Jisey smajh k bhi na smajh sakay,

Mujhey chahta bhi gazab ka thaa,

Mujhey chorr kar bhi chala gaya…!
 De ke mujhko dua gaya koi
Apna waada nibha gaya koi
Meri hasti miTa gaya koi
Jane do jo gaya gaya koi
Umr bhar dho raha hai deewana
Daagh aisa laga gaya koi
Zehn o dil ke tamaam maskan ko
Khaak meN kyoN mila gaya koi
So raha tha maiN khwab e ghaflat meN
TthokaroN se jaga gaya koi
Koi manzil ki justaju meN tha
Aur manzil ko pa gaya koi
Jiski ta’beer mil nahiN sakti
Khwaab aisey dikha gaya koi
Sare gham merey naam karke ‘nisar’
Duur mujh se chala gaya koi 


Aas Phr se


Hum to kam zarf hain Aansu

Hum to kam zarf hain Aansu ko gira Dety hain
Woh smandr hain jo Darya ko Panah Daty hain

Bach k rehna wafa k waadon se
Log zaalim hain Khuda ko bhi bhula Dety hain

Main kiya smjhon k who Aadmi hain kaise
Jab bi khamosh hon oron ko rula dety hain

Kabi maloom karo phool jo murjhaty hain
Hijr-e-Aangn mein woh youn khud ko saza dety hain

Jin ki qismat mein dukhon ki brsaat ho "Gull G"
Hum wo hain zakhm kha kr bhi dua dety hain...!!

Hum To Unki...

Hum to unki har khwaish pori karne ka wadaa kar bethe...

Humain kya pata tha k humein chora b unki ek khwasih thi....

"YEH ZAROORI TO NAHI"...♥.

"YEH ZAROORI TO NAHI"...♥

Ker Bethe Hain Woh Pyaar Ke Badle Pyaar Ki Umeed
Her Kisi Ko Badle Main Pyaar Mile

"YEH ZAROORI TO NAHI"...♥

Tum Jis Ki Karo Khuwahish Rahe Saath Umer Bhar,
Woh Sada Saath Rahe Tumhare,

"YEH ZAROORI TO NAHI"...♥

Poshida Rakhi Hain Dil Main Humne Jaane Kitni Baatein,
Her Baat Ka Hum Izhaar Karein,

"YEH ZAROORI TO NAHI"...♥

Logon Ko Na Pasand Hai Humara Andaaz -E - Zindagi,
Badlein Hum Ab Apni Zindagi,

"YEH ZAROORI TO NAHI"...♥

Tum Per Hai Bharosa Yeh Karte Hain Dawa,
Yeh Dawa Hamesha Qayyam Rahe,

"YEH ZAROORI TO NAHI"...♥

Be-Dili Se Poochte Hain Mera Haal Hai Kaisa ,
To Yeh Haal Bhi Woh Poochen To,

"YEH ZAROORI TO NAHI"...♥.

Kabhi mom ban k pighal gya

Kabhi mom ban k pighal gya
Kabhi girte girte sambhal gya
Usay rokta b to kis tarah
K wo shakhs itna ajeeb tha
Kabhi tarap utha meri aah se
Kabhi ashk se na pighal ska
Sar-e-rah mila wo agr kabhi
To nazar chura k guzar gya

Wo utar gaya meri ankh se
Mere dil se kyun na utar ska
Wo chala gya jaha chor k
Main wahan se phir na palat ska
Wo to sambhl gaya Mujhe chor k
Main bikhar k phir na simat saka....!!

Aadatein...!!!

Aadatein mukhtalif hain humari duniya waalon se

M o h s i n

kam dost banaate hain per la-jawaab banate hain

...........PAGAL LARKI................

...........PAGAL LARKI................

Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay her khat main likhti hai
“Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN?”
meri baatain satati hain
meri neendain jagati hain
meri aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhi teheltay ho?
kisi khamosh rustay se
koi awaaz aati hai?
Thatharti sard raatoN main
tum abb bhi chhatt pe jaatay ho?
falak ke sab sitarooN ko
meri baatain sunatay ho?
kitaboN se tumharay ishq main koi kami aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nami aai?
Ajab pagal Si larki hai
mujhay her khat main likhti hai..
Jawaban ous ko likhta hooN..
meri masroofiyat daikho subah se shaam office main
chiragh-i-umer jalta hai
phir ous k baad duniya kee
kaee majbooriyan pao`n main bairi daal rakhti hain
mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
Tehelnay, jagnay, ronay kee mohlat hee nahin milti
sitarooN se millay arsa hua..naraz hon shayad
kitabooN se shughaf maira abhi waisay he qayem hai
farq itna parra hai ab ounahin arsay main parhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai
mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
poorani baat hai jo log akser gungunatay hain
ounhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
ajab pagal si lerki ho
meri masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla
“tumhain main yaad aati hooN ?”
meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN ?

Wo Jo Hum Main Tum.....!!!


Thursday, 20 October 2011

ZinDa Tha To

Zinda tha to kisi ne na pucha haalat-e-jigar,
Ab mar gaye hain to mitti main dabanay aagaye,

Chor k dunya ko madhosh huye thy hum,
Woh na janay kya soch kar humko jaganay aagaye,

Na janay kis se pucha hai wafa na pata mera,
Meri qabar pe bhi humko jaganay aagaye,

Hum to andhere main sonay k aadi they,
Or woh bewafa meri qabar per diye jalanay aagaye.

Zinda tha to ek nazar na dekha pyar se Faraz!
Mar gaye hain to ab qabar pe aansu bahaney aagaye

Wednesday, 12 October 2011




Guzar gaee raat aankhon aankhon main
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main

Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat
Ho gaee bersaat aankhon aankhon main

Mil na saka tha dil kabhi dil say
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main

Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi
Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main

Day diya dil aik doojay ko
Ho gaee soghaat aankhon aankhon main

Sab rasmoon riwajoon ko Saqi
Ho gaee maut aankhon aankhon main

Thodi si wafa chahiye


DASTAAN


Tuesday, 11 October 2011

Karo Wada.....


Karo wada mere

marne pe aao ge,

Aur mujhe apne hathon

Se dafnao ge....

Aansoo


Jane kya soch ke mere ansoo pooche "Aashu",
Woh to bedard hai humesha rooltha hai mujhe..

Sadiyon Se Jagi Aankhon Ko Ek Bar Sulane Aa jao....!!!


Sadiyon Se Jagi Aankhon Ko Ek Bar Sulane Aa jao,
Mana Ke Tum Ko Pyaar Nahin Nafrat Hi Jataney Aa jao,

Jis Mor Pe Hum Ko Chhor Gaye Hum Baithey Ab Tak Soch Rahe,
Kya Bhool Hoi Kyun Juda Hoye Bus Yeh Samjhaney Aa jao,

Her Lamha Teri Furqat Main Hum Tarap Rahe Hum Tras Rahe,
Meri Mano Tum Is Dil Ko Kuch Pal Hi Behlaney Aa jao….!!

Tum Jao Humse Door To Aik Kaam Kar Jana...!!


Tum Jao Humse Door To Aik Kaam Kar Jana
Kuch Pal Apne Hamare Naam Kar Jana

Ager Aa Jaye Maut Humein Tere Aane Se Pehle
To Aa Kar Mere Janaze Ka Ehtaram Kar Jana

Na Rona Is Kadar Ke Taklef Ho Humein
Maut Ko Bi Mazak Samjh Kar Anjaan Ban Jana

Main Ek Din So Jaon Ga Sada Ke Liye
Phir Mujhe Bewafa Keh Ke Badnam Kar Jana

Jo Guzro Meri Qabar Se To Nazarein Na Pherna
Mehman Hi Ban Ke Dua Salam Kar Jana...!!

Ek Umar....!!


Ek Umar Beet Chali Hai Tujhe Chahte Hoye..

Tu Aaj Bhi Bey'Khabar Hai Kal Ki Tarha.....!!

SamanDaR


“Teri jesi AankHo wale Aate hy jab saaHiL par..

LeHrain shor machaati hye... Lo Aaj SamanDar DooB cHaLa !!!


Monday, 10 October 2011

Chaahat ka asar pyar me dekha hai


Dard toa hamne intezar me dekha hai ,
Chaahat ka asar pyar me dekha hai ,
Log dhundte hai mandir masjid me jis khuda ko ,
Use humne apne pyaar me dekha hai …


Dard To


Dard to hamne intezar me dekha hai ,
Chaahat ka asar pyar me dekha hai ,
Log dhundte hai mandir masjid me jis khuda ko ,
Use humne apne pyaar me dekha hai …


Kaho tu Luat Chaltay hain (Urdu Ghazal)




Kaha Tha Na Kay Yo Soty





Wo Ashk Ban Ka.....!!!



Doobi Hain Humari Ungliyan Khud Apne Hi Laho Mein
Yeh Kanch Ke Tukdon Ko Uthane Ki Saza Hai




Hum Hi Mein Thi Na Koi Bat Yaad Na Tum Ko Aa Sake
Tum Ne Humain Bhula Diya Hum Na Tumain Bhula Sake

Nazar Hat'ti Nahi Tere Husn Ke Nazaro'n se Parey

Nazar Hat'ti Nahi Tere Husn Ke Nazaro'n se Parey,
Toofan Hai Goya Machalta Hua Kinaro'n Se Parey.

Qandeel Se Roshan Teri In Aankho'n Ki Chamak,
Mil Jaien To Bita Doo'n Zindagi Sitaro'n Se Parey.

Muskan Labo'n Ki Hai Misaal-e-Marham-e-Jaan,
Aey Maseeha Na kar Ab Ye Dawa Beemaro'n Se Parey.

Tera Surahi Numa Badan Hai Markaz-e-Nigah-e-Mae Kash,
You'n Na Aa Mae Khaney Mein Zara Reh Mae Kharo'n Se Parey.

Kabhi To Aa Apni Deed Ke Pyaso'n Ki Mehfil Mein,
Itna Bhi Na Ja Hasrat Ke Maro'n Se Parey...!

Sunday, 9 October 2011

Yeh wada raha tum se aye humsafar

Yeh wada raha tum se aye humsafar
No tootega yeh sath ab umar bhar
Shab-o-roz mere, mera har kadam
Rahege sada bas tumhari raah par
Yeh wada raha tum se aye humsafar
...

Jo aaye kabhi judaai ki ghari
Tumhe bhool jaau yeh mumkin nahi
Wafa me meri kabhi na hogi kami
Yeh wada raha tum se aye humsafar


Tum jab bhi pukaroge aunga mai
Sada apna wada nibhaugi mai
Na chhor kar kabhi jaunga mai
Yeh wada raha tum se aye humsafar

Haan !!!
Wada raha tum se aye humsafar.

tum kaisi mohabbat karti ho

main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan peh bayth k jati ho
main waheen pe betha rehta hoon
us cheez ko choota rehta hoon
main aisi mohabbt karta hoon

tum jis se huns k milti ho
main us ko dost banata hoon
tum jis rustay par chalti ho
main us say aata jata hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

tum jin ko daykhti rehti ho
wo khuwab….sarhanay rakhta hoon
tum say milnay julnay k
kitnay hi bahanay rakhta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

tum jahan bhi bayth k jati ho
jis cheez ko hath lagati ho
main waheen peh baytha rehta hoon
us jaga ko choota rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

kuch khuwab saja kar aankhoon main
palkon say moti chunta hoon
koi lums agar choo jaa a to
main pehroon us ko sochta hoon
main…aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jin logon main tum rehti ho
tum jin say batain karti ho
tum jin say huns k milti ho
jo tum ko achay lagtay hoon
wohi mujh ko achy lagtay hain
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jis bagh main subh ko jati ho
jis sabzay par tum chalti ho
jo shakh tumhain choo jati hay
jo khushboo…tum ko bhati hay
wo os tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai
wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri rooh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya door raho
nazron main samai rehti ho
main tum ko takta rehta hoon
main tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

her moqay par her manzar main
main sath tumharay rehta hoon
main chashm-e-tasavvur main aksar
bus tum ko dekhta rehta hoon
bus tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho