Monday, 10 October 2011

Nazar Hat'ti Nahi Tere Husn Ke Nazaro'n se Parey

Nazar Hat'ti Nahi Tere Husn Ke Nazaro'n se Parey,
Toofan Hai Goya Machalta Hua Kinaro'n Se Parey.

Qandeel Se Roshan Teri In Aankho'n Ki Chamak,
Mil Jaien To Bita Doo'n Zindagi Sitaro'n Se Parey.

Muskan Labo'n Ki Hai Misaal-e-Marham-e-Jaan,
Aey Maseeha Na kar Ab Ye Dawa Beemaro'n Se Parey.

Tera Surahi Numa Badan Hai Markaz-e-Nigah-e-Mae Kash,
You'n Na Aa Mae Khaney Mein Zara Reh Mae Kharo'n Se Parey.

Kabhi To Aa Apni Deed Ke Pyaso'n Ki Mehfil Mein,
Itna Bhi Na Ja Hasrat Ke Maro'n Se Parey...!

No comments:

Post a Comment