Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi
keh dhoop cHayoN ka alam raha,judaai na thi
na apna ranj na auroN ka dukh,na tera malal
sHab`e firaq kabhi hum nay yuN ganwayi na thi
mohabbatoN ka safar is tarha bhi guzra tha
sHikasta dil thay musaafir sHikasta paayi na thi
adawateiN thiN,tagHaful tha,ranjisHeiN thiN
bicHaRhnay walay maiN sab kucH tha,bewafaayi na thi
bicHaRhtay waqt un aankhoN maiN thi humari gHazal
gHazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi
kabhi yeh haal keh donoN maiN yakdili thi bohat
kabhi yeh marhala jaisay keh asHnayi na thi
ajeeb hoti hay rah`e sukHan bhi dekh Naseer
wahaN bhi aa gaye akHir jahaN rasayi na thi
No comments:
Post a Comment