Monday, 6 February 2012

Muhabbaton ka nasha ab...!!!

Muhabbaton ka nasha ab utarny wala hy
Main janti hon k manzar bdalny wala hy

Main wada karti hon tum b wafa ka ehd kro
Rafaqaton ka zamana guzarny wala hy
...
Tumhare tarz-e-tabas'sum ne bakhsh di hy hayat
Wagar'na dil mera kis se behelny wala hy

Chaly b aao k hasti ka meri sheeraza
Gham-e-hayat se ab to bikharny wala hy

Wo be'wafa talab-e-ghair me hy sargar'daaN
Mere lye wo bhala kab theherny wala hy

Tamaam khwab jazeeroN pe ZAAT dhond rahi
Mehez gumaan tha soraj nikalny wala hy

Us Ki Jaam-E-Jam Aankhe...!!!

Us Ki Jaam-E-Jam Aankhe Shisha-E-Badan Mera
Us Ki Band Mutthi Main Saara Baankpan Mera

Aao Aaj Ham Dono Apna Apna Ghar Chun Le
Tum Tabaah-E-Dil Le Lo Khitta-E-Badan Mera

Main Ne Apne Chehre Pe Sab Hunar Sajaaye The
Faash Kar Gaya Mujh Ko Saada Pairahan Mera

Dil Bhi Kho Gaya Shayad Shahar Ke Surabon Main
Ab Meri Tarah Se Hai Dard Bevatan Mera

Ek Dasht-E-Khamoshi Ab Mera Muqaddar Hai
Yaad Besada Teri Zakhm Bechaman Mera

Roz Apni Aankho Ke Khwab Khun Karta Hoon
Haaye Kin Ganimo Se Aa Pada Hai Ran Mera

Magrabi Hawa Ne Phir Ye Sandesha Bheja Hai
Muntazir Tumhara Hai Khushbuon Ka Ban Mera

Dard mein dard ka ehsaas.....!!!

Dard mein dard ka ehsaas kahan hota hay
Dard hota hay magar jaane kahan hota hay

Aap kyun poochte hain dard ki haalat mujh se
Ek jagah ho to bata doon ke yahan hota hay

Aap aaein to sakoon, aap na aaein to sakoon
Dard mein, dard ka ehsaas kahan hota hay

Aap barham hi sahi baat to keeje ham se
Kuch na kehne se muhabbat ka guman hota hay

Waqt ki baat hay yaa un ki inaayat hay Samar
Main yahan hoon aur mera zik'r wahan hota hay

“Kabhi Jazbon Kabhi ...!!!

“Kabhi Jazbon Kabhi Khawabon Ki Tijarat Kar K”
“Dil Ne Dukh Dard Kamaye Hain Muhabbat Kr K”

“Tum Jab Aao Gay To Mehfooz Milain Gay Tum Ko”
“Hum Ne Dafnaye Hain Kuch Khawab Amanat Kar K”

“Ek Zara Si Bhol Hui Or Usy Kho Bethy”
“Hum Ne Paya Tha Jise Barson Ibadat Kar K

Saturday, 4 February 2012

Kagaz ki kashti thi...!!!

Kagaz ki kashti thi,pani ka kinara tha.

Khelne ki masti thi,dil ye awara tha.

Kahan aa gaye is smjhdari k daldal me

wo nadaan bachpan hi kitna pyara tha......!