Thursday, 4 October 2012

Ishq ko b Ishq ho....!!!

Ishq ko b
Ishq ho
To mai dekhu
Ishq ko

♥♥♥

Kaise tadpe
Kaise roye
Ishq apne
Ishq me

Saturday, 14 July 2012

Hum toot k bikhre hain itnay k tujhe.......!!!!

"..Gazal.."
Hum toot k bikhre hain itnay k tujhe kya khabr

Zindagi gawa k ji rahay hain tujhay kya khabr

To apni kushiyon mein magn hai es kadr

Hum tanhaiyon ko pee rahey hain tujhe kya khabar

Tu apni jeet pe nazaan hai es kadar

Hum ne haar kar bhi tujhe jeeta tujhe kya khabr

Tere saath guzrey lamhat ki yaad main

Raat din tarap rahey hain tujhe kya khabr

Teri yaadon ki aaghoosh me kho kar

Hum to khud ko hi bhool gaye hain tujhe kya khabr.....!!

Ankh Ban Jati Ha Sawan Ki Ghata ......!!!!

Ankh Ban Jati Ha Sawan Ki Ghata
"SHAM K BAD"

Mujh Se Ho Jata Ha pher Koi Khafa
"SHAM K BAD"

Chand Jb Ro K Sitaron Se Gale Milta Ha

Ek Ajab Rang Ki Hoti Ha Fiza
"SHAM K BAD"

Hum Ne Tanhai Se Poocha K Milo Gi Kb Tak

Us Ne Be-Chaini Se Foran Hi Kaha
"SHAM K BAD"

Loat Aati Ha Meri Shab Ki Ibadat Khali

Jane Kis Arsh Pe Rehta Ha Khuda
"SHAM K BAD"

Maar Deta Ha Bichhar Jane Ka Dohra Ehsas

Kash Ho Koi 'Kisi Se Na Juda
"SHAM K BAD". ........!!!

Mosam Hy Barish Ka......!!!!

~^~ Mosam Hy Barish Ka
Or.
Yad Tumhari Ati Hy,

~^~ Barish K Har Qatray Say.
~^~ Awaz Tumhari Ati Hy,

~^~ Badal Jab Garjtay Hain.

~^~ DiL Ki Dharkan ruk Jati Hy,
Or.

~^~ DiL Ki Har 1 Dharkan may.
~^~ yaad Tumhari Ati Hy,

~^~ Jab Tayz Hawaen Chalti Hain
To jaan hamari jAti Hy,

~^~ Mosam Hy Barish Ka
Or
Yad Tumhari Ati Hy.

Ishq Ki Majbori Zulekha....!!!

Ishq Ki Majbori Zulekha Sey Pochiye Ga...

Bazar E Misr Mein Yousaf Ko Ruswa Kar Diya...!!

Kab Kun Kisi....!!!


Umar Bhar Likhty .....!!!!


Nahi Ab To Koi Millal....!!!


Hum to Faqeer....!!!


Mohabbat munfarid Meri....!!!

Mohabbat munfarid Meri,,Tamanna chaar soo teri..,!!

Magar Tum ho kabi usS k,, kabi isS k,, Siwaa Mery.........!!!

Wo? Or Wafa...!!!

Wo ?
Or Wada Wafa
Kary... ?

Tum Bhi na -Mohsin-
Kamal Kerty Ho..!!

Hai nafs k haathon tu majboor KITNA....!!

(Allama Iqbal)
Hai nafs k haathon tu majboor KITNA,

Sub jaan k b hy aaj la shaoor KITNA,

Jis chehry ne hy 1 din matti men mil jaana,

Us chehry pe hy tujhe ghuroor KITNA,

1 sajde k inkaar ne IBLEES ko shetaan bana dia,

Tu khud jaan ly tera hy qusoor KITNA,

Jin ki sunnat pe chalna tujhe gawaara nhi,

Tery waasty roye thy woh HUZOOR (s.a.w.w ) KITNA

Tu ne chakhi hy faqat gunaahon ki lazzat
Tu kya jaane

A Muslim

zikr-e-Elaahi men hy suroor KITNA....!!!

Saturday, 7 July 2012

Kahmosh fiza thi kaheen saaya bhi nahi tha...... !!!!



( Ghazal ) 


Kahmosh fiza thi kaheen saaya bhi nahi tha......



is shehar mein ham sa koi tanha bhi nahi tha......



kis jurm mein cheeni gai mujh se meri hansi......



ham ne to kisi ka diL dukhya bhi Nahi tha......



ham jis k hawalay se huay shehar mein badnaam......


Yaaro us shakhs ko to ham ne kbhi rulaya bhi nahi tha...

Aaj us ki yad nay hamain tarpaya bohat...!!

"BEST GAZAL"
Aaj us ki yad nay hamain tarpaya bohat

Aaj na chahtay huay bhi wo yaad aya bohat

Us ke baad to jaisay tanhaiyon say dosti ho gai

Phir kyun tanhayion ne aaj darayia bohat

Wo mera tha?

Mera hai

Mera rahe ga?

Yah soch k dil ko behlaya bohat

Shama k jalny pay afsoos karain kyun

Hum ne bhi sare-e-sham khud ko jalaya bohat

Hum ne jis kisi ko bhi humdard samjha
<Dost>
Wo na jane kyun humary dard pe muskuraya bohat.....

"Faasla Itna Barhane Ki Zarurat Kya Thi.....!!

"BEsT GAzzAL"

"Faasla Itna Barhane Ki Zarurat Kya Thi,
,'
Tujhe Mujh Se Rooth Kr Janay Ki Zarurat Kya Thi,
,'
Ab Jo Mujh Se Rooth Kar Udaas Rehtay Ho,
,'
Apna Haath Mere Haath Se Chhurane Ki Zarurat Kya Thi
,'
Dunya Kab Kisi K Gham Ko Apna Gham
Samajhti Hay
,'
Tujhe Apna Gham Dunya Ko Dikhane Ki Zarurat Kya Thi,
,'
Main Aaj Tak Is Baat Ko Nahi Samajh Pai
,'
Jab Sath Tumhare Main The To Tum Ko Zamane Ki Zarurat Kya Thi...!!

Friday, 11 May 2012

Kisi K Pyar Mein Khud Se Bichrna Lazmi Hai Kia..?

Kisi K Pyar Mein Khud Se Bichrna Lazmi Hai Kia..?

Muhabbat K Liye Had Se Guzarna Lazmi Hai Kia?


Agar Woh Bewafa Hai, Kia Hua Apne Liye Hoga..!


Ab Itni Baat Pe Aanso Bahana Lazmi Hai Kiya..


Zaruri To Nhi k Tm Jise Chaho, Tumhen Chahe..!


Zabardasti Kisi Dil Mein Utarna Lazmi Hai Kia..!!!

Tum Bin Agar Hamara..........!!!

"Tum Bin Agar Hamara
Guzara Hota,

"To Aj Youn Na Tumko

Pukara Hota,

"Hamaray Dil

Mai To Sirf
Tum Hi Tum Ho,

"Kaash Tumharay
Dil Main B Khayal
Hamara Hota...!!!

Mera Dil Shoq Sey Toro Aik Tajurba.....!!!

Mera Dil Shoq Sey Toro Aik Tajurba aur Sahi.......

Laakh Khiloney Tour Chukey Ho Aik Khilona aur Sahi.......


Raat Hay Gham Ki Aaj Bujha Do Har Aik Chiraag.......


dil Mein Andhaira Ho Hi Chuka Hay Ghar Mein Andhaira aur Sahi.......


Dam Nikalta Hay Mera Bheer Mein Aa Kar Daikh To Lo....


Laakh Tamaashey Daikhey Hongey Aik Nazaara aur Sahi.......!!

Bohat Naam Suna Tha Bachpen.......!!!!!

Bohat Naam Suna Tha Bachpen Me "Wafa" Ka

,,,G¡,,,

Jab Ham Jawan Hue To Rewayat Hi Badal gai...

Mot To Nam Se Bdnam Hai.....!!!

Mot To Nam Se Bdnam Hai...

Wrna Tklif To Zndgi B Bht Deti Hai...!

Tanha rehna seekh raha hoon......!!!

Tanha rehna seekh raha hoon
Mar kay jeena seekh raha hoon

Mang kay pana seekh liya hai

Pa kay khona seekh raha hoon

Sabar ko zad-e-rah bana kar

Kanch pay chalna seekh raha hoon

Phirtay, phirtay sehra, sehra

Pyaas ko peena seekh raha hoon

Marham to rakhna na aaya
Zakhm khoorachna seekh raha hoon

Jeenay kay hain ajab taqazay
Zinda rehna seekh raha hoon

Madhooshee nay bohat sataaya
Hosh main rehna seekh raha hoon

Barson guzray phir bhi ab tak
Maan say bichcharna seekh raha hoon

Dar kar zehar kay pyaalay say
Such ko chupaana seekh raha hoon

Rotay rotay auron par
Khud pay hasna seekh raha hoon

Ghum nay mujh ko bohat hai khaya
Ab gham khana seekh raha hoon

Is pay hairan hotee hoon
Kartab, kya kya seekh raha hoon

Mang kay pana seekh liya hai
Pa kay khona seekh raha hoon

Sabar ko zad-e-rah bana kar
Kanch pay chalna seekh raha hoon.......!!!!!

Mil Kar Bhi Ussay Hasrat-E-Mulaqat Reh Gai.....!!!

Mil Kar Bhi Ussay Hasrat-E-Mulaqat Reh Gai,
Baadal To Ghar Aaey thay Barsaat Reh Gai,

Wo Aaj Yun Mila K Hamain Janta Na Ho,

Lab To Meray Khulay Thay Magar Baat Reh Gai,

Mai Haar K Bhi Khush Hoon k Tum Jeet To Gaey,

Qismat Main Meri Maat Thi So Maat Reh Gai,

Daaman Main Kya Rakha Hai Is K Siwa Bas,

Bakhshay Jo Tu Nay Zakhm Wo Soughaat Reh Gai,

Kya Kya Badal Rahay Hain Yahan Mousam Khabar Nahi,
DiL K Nagar Main Raat Thi So Raat reh Gai….................

Aay Dil Tu Dharak Magar.....!!!

Aay Dil Tu Dharak Magar Itna Tou Zara Soch...

Tere Jazbaat Aur hain, Mere Halaat Aur  Hain..!!!

Saturday, 28 April 2012

Tadap ke dekh kisi ke chahat mein....!!!

Tadap ke dekh kisi ke chahat mein
to pata chale ki intazaar kya hota hai
Tadap ke dekh kisi ke chahat mein
to pata chale ki intazaar kya hota hai
yunhi mil jaye koi bina tadpe
to kaise pata chale ki pyar kya hota....!!!

Kaam-Kaj aur Mizaaj kaisa hai....!!!

Kaam-Kaj aur Mizaaj kaisa hai
Kal to Kal tha, Btao Aaj kaisa hai
Hamarey Shehr mein hen Mohabat ke Dushman
Tumaharey Shehr mein Btao Rivaaj kaisa hai
... ...
Os ki Awaz sun lon to hai Sakoon-e-Dil
Meray Gham ka Dekho, Elaaj Kaisahai
Os ki Baten Bhool sakta nhi Kabhi
"Faraz" teri Awaz ka Mohtaaj Kaisa hai.

TO MY GREAT LOVER.....!!!

TO MY GREAT LOVER
Apne aankhon ke samne la rahi hoo,
Waqt ka yeh lamba safar,
Aaj pass kyon hai lagta,
Tum door nazron se meri,
Per teri ehsaash mein,
Apne aagosh mein kyon,
Mehsoosh kar rahi hoon,
Teri har ek baat,
Aaj khud ko kyon dohra rahi hai,
Woh saari yaadein,
Mere jism mein kyon sama rahi hai,
Ab aa bhi jao,
Na satao mujhe tum itna,
Ab aa bhi jao,
Meri aag na bhadkao itna,
Jab se gaye ho door mujhse tum,
Har pal yaad aaye ho mujko tum,
Bus ek jhalak ki diwani hoon,
Bus ek boond ki pyasi hoon,......!!!

Toot Kar Zara Dekho......!!!

Toot Kar Zara Dekho.

Tum Agar Bikhar Jao.


Bebasi Mein Ghir Jao.


Dil Se Ek Sada Dena.

Bus Mujhe Bhula Lena.

Main Tumhen Sambhalon Ga.

Zindagi Mein Chalne Ka.

Raasta Badalnay Ka.

Ek Hunar Sikha Dunga.

Or Jab Sambhal Jao.

Roshni Mein Dhal Jao.

Mujh Ko Youn Sila Dena.

Tum Mujhko Bhula Dena.....!!!!

Door tak chhaye thay badal aur kahin saaya.....!!!

Door tak chhaye thay badal aur kahin saaya na tha
Is tarah barsaat ka mausam kabhi aaya na tha

Kia mila aakhir tujhe saayon ke peechhey bhaag ker

Ai dile naadan tujhey kia humney samjhaya na tha

Uff yeh sannata ke ahat tak na ho jis mai mukhil

Zindgi mai is qadar hum ne sukoon paaya na tha

Khoob roye chhip ke ghar ki chaardeewari mai hum

Haale dil kehne ke qabil koi hamsaaya na tha

Ab khula jhonkon ke peeechey chal rahi theen aandhiyan
Ab jo manzar hai wo pehle to nazar aaya na tha

Sirf khushboo ki kami thee ghaur ke qabil Qateel
Warna gulshan mai koi bhi phool murjhaya na tha.....!!!

Umar ki Sari thakan laad K ghar jata hon.....!!!

Umar ki Sari thakan laad K ghar jata hon
Raat bister pe Main sota nahi mar jata hon

Aksar aokat bhare shehar k sanate men

Iskadar zor se hansta hun k dar jata hon

Mere ane ki khabar sirf diya rakhta hai

Main hawao'n ki tarah ho k guzar jata hon

Dil thehar jata hai bhooli hue manzil men kahin

Main kisi dosre raste se guzar jata hon

Simta rehta hon bohat Halka-e-Ahbab men Main
Chardiwari men ate hi bikhar jata hon

Main ne khud apne khilaf ap gawahi di hai
 Wo tere Hak men nahi hai to mukar jata hon.....!!!

Thursday, 12 April 2012

Aaj us ki aankhon main wo sharart....!!!


Aaj us ki aankhon main wo sharart na thi,
aaj us k honton per wo muskurahat na thi,

main ne pocha to taal dia us ne


magr aaj us k roop main wo sajawat na thi


sard per gai thi us ki tabiyat ki shokhi


Aur jazbaat main wo hararat na thi

khuch khair na lagti thi,
gham se choor tha wo

us k lehjey main wo gargrahat na thi

Toot chuka tha wo mohabt main
,"saqi",,

magar Us ko mohabt se koi shikayat na thi...!!

Ye Duniya hai Yahan pe ye Tamasha....!!!

Ye Duniya hai
Yahan pe ye
Tamasha ho b sakta hai,

Abhi to Gam Hamara hai

Tumhara ho b sakta hai,

Na ye smjho k

Tum hi Aakhri meri
Mohabbat ho,

Mohabbat jurm hai
Hum se
Dubara ho b sakta hai,

Tera milna,
Bicher jana,
Bicher k phir se mil jana,

Hamesha ki judai ka
ishara ho b sakta hai,

Tum apny ap ko hr-giz koi ilzam mat dena,

Ye sooda hai
Mohabbat ka
khasara ho b sakta ha.....!!!

Wo rooth jata hy aksar Shikwa.....!!!

Wo rooth jata hy aksar Shikwa kiye begair

Hum be to seh jate hain Shikayat kiye begair


Hum sochty rahe muhabat be-los hoti hai


Ye yunhi ho jati hai Enayat kye begair


Tu kitna nadan hai itna to soch le


Jannat kab milti hy Ebadat kiye begair

Kasoor un ka nahi kasoor to humara hy

Humne muhabat b ki to un ki Ejazat liy bager.....!!!

Monday, 26 March 2012

Us Ki Ankhoo'n Mai Dharakta Hai...!!!

Us Ki Ankhoo'n Mai Dharakta Hai Ghazzab Ek Sawaal
Us Ne Bandha Meray Anchal Se Ajjab Ek Sawaal

Neend Khawaboo'n Se Jo Uljhi Hai Seher Honay Tak
Justuju Ek Tammana Thi, Tallab Ek Sawaal

Apni He Zaat Se Karna Hai Kinaraa Mujh Ko
Pochna Ho Tu Rahoo'n Meher-ba-Lab Ek Sawaal

Meray Khawaboo'n Se Bhi mujhay Aasi Tanhai Di
Mujh Se Pocha He Nahi Ajj Ji Shub Ek Sawaal

Janti Hoon Kay Aaye Ga Ba-Waqat-e-Rukhsat
Mujhay Uljhay Kisi Orr Sabub Ek Sawaal

Meray Kaisay Mai Nahi Is Kay Koi Jawaab
Us Kay Kassay Mai Raha Jaan Balub Ek Sawaal

Is Barrus Baam Se Guzeray Ga Ager Mousam-e-Gul
Mai Bhi Pochoo'n Gi Basad-e-Ejiz-o-Addab Ek Sawaal....!!!

Saturday, 24 March 2012

Wo raat Dard aur sitam ki raat hogi.....!!!!

Wo raat Dard aur sitam ki raat hogi
 Jis raat ruksat un ki Baraat hogi.

Uth jatay hain ye soch kar neend se k,

Kisi ghair ki baahon me Meri jan hogi.

Hosh nahi tha mujhe Us ki shaadi ki raat.
Main ne kabhi ye na Socha tha k meri zindagi Nelaam hogi.

Meri jan ab zinda hon Teri khatir.
Kal shehar me tere kafan Me lipti meri lash hogi.

Tum dekh kar khoon k Ansoo ro gi.
Youn khoon se bhari Meri lash hogi.

Qayamat hi qayamt hogi Tere shehar me,
K har gali har ghar me Likhi meri dukh bhari Daastaan hogi....!!!!!

Mujh Se Bichrho Gy To Badnaam Ho Jao Gy...!!

Mujh Se Bichrho Gy To Badnaam Ho Jao Gy ,

SodagaroN K Hath Nilaam

Ho Jao gy,

Har roz niklo gy meri talash me lekin ,


Na milny par paryshan ho jao gy ,


Kahan hy wo. ?
kiun gya hy . ?
kab aye ga. ?

Dunia k swalun me girftaar ho jao gy. ,

Be dard dunia se naa,waqif ho abi tum,

Mery siwaa kisi ka ho kar dekho samaj jao gy ,

Ye baar baar mujy chorhny ki baat ,,

Jis din duhraaye ham ne ye alfaaz to, kaanp jao gy....!!

Saturday, 17 March 2012

Suno … ”MOHABBAT” Yun Nahi Hoti...!!

Suno … !
”MOHABBAT” Yun Nahi Hoti

Kisi Ka “NAAM” Lene Se

... ... Kisi Ko “THAAM” Lene Se

Kisi k “PAAS”Jane Se

Kisi k “DUUR” Jane Se

MOAHBBAT Ka Janam Nahi Hota

Jab Tak Dilo’n Ka “MILAN” Nahi Hota

Suno … !

“MOHABBAT” Yun Nahi Hoti

Ye “RABTA” Hy Dil Se Dil Ka

Ye “NAAM” Hy Betarteeb

“DHARKANO’N” Ka

MOHABBAT Tou Aankho’n Se

“BAYAN” Hoti Hy

Ye Tou Dil Ki “ZUBAAN” Hoti Hy

Suno .. !
“MOHABBAT” Yun Nahi Hoti....!!

Yun Akely main usay Ehd-e-Wafa yad aye...!!

Yun Akely main usay Ehd-e-Wafa yad aye
Jese banday ko Musibat main Khuda yad aye..

Jese bhatkay howe pachi ko Nasheman apna
Jese apno k Bicharne pe Dua yad aye....

Jese Dhalti Hui Sham ko Sawera k0i
Jese Pinjre main Parinday ko Fiza yad.....

Jese Boorhay ko Khayalat main Bachpan apna
Jese Bachay ko Shararat pe Saza yad aye.....

Jese Ujri hui Basti ko Zamana apna
Jese T00fan k Thehrne pe diya yad aye....

Yun Akely main usay Ehd-e-Wafa yad aye.

Adhory Chand Sy Fryad To Krta Hoga...!!

Adhory Chand Sy Fryad To Krta Hoga,

Wo Mujhe Zyada Nhi Pr Yaad To Krta Hoga..

BhooLy Sy He Sahi Kbhi Meri Yaad To Aati Hogi,
...
Wo Mere Baary Main Kuch Irshad To Krta Hoga..

Bohat Masroof Sahi Din Bhar, Phir Bhi,

Tanhai Main Kuch PaL Mere Liye BARBAD To Krta Hoga..

Tumhari Yaad Ka Mehwar Talash Kartey Hain...!!!

Tumhari Yaad Ka Mehwar Talash Kartey Hain
Wahi Purana Sa Ikk Ghar Talash Kartey Hain

Kuch Iss Tarah Say Sarabon Ne Dey Diye Dhokey
Ke Dasht Mein Bhi Samandar Talash Kartey Hain

Woh Jis Mein Dafn Huyi Apni Chahatein Saari
Hum Aaj Bhi Wohi Khandar Talash Kartey Hain

Mohabaton Ke Gaye Mosamon Ko Abb Jaana
Hum Apni Zaat Ke Andar Talash Kartey Hain

kabhi tum nahi miltey to Kabhi.....!!!

kabhi tum nahi miltey to
..kabhi alfaaz nahi miltey..

Ek nai duniya basana chahti hon

...MAGAR....

kabhi neend nahi aati to kabhi khwaab nahi miltey..

Ye doriyan to mita do mai ek pal main,

...MAGAR....

kabhi kadam nahi chaltey to kabhi rastey nahe milte.

mein to milne ko Betaab hun bohat "Dost\''

...MAGAR...

Kabi waqt nhi milta or kabi "TUM" nhi miltey...!

Nahi Fursat Yaqeen Janoo...!!!


Nahi Fursat Yaqeen Janoo Humain Kuch our Krny Ki

Teri Bateen Teri Yadin ,Bhot Masroof Rakhti Hain..!!!

Hath baalon mein phairey to mein so jaon ga..!!

Hath baalon mein phairey to mein so jaon ga.

Koi Qissa wo sunaye to me so jaon ga.

Us se kehna k mujhe neend nhi aati.

Apni baahon me sulaye to mein so jaon ga.

Meri palkon pe saje hain kaien Raaton se diye.

Koi palkon se bujhaye to mein so jaon ga.

Aakhri sans mujhe moka de de ye zara

Mera wada hai k wo aaye to mein so jaon ga.

Baad ki baad me dekhen ge us se kaho.

Aj ki raat na jaye to me so jaon ga....!

در ، کوئی سلامت ہے نہ دیوار سلامت

در ، کوئی سلامت ہے نہ دیوار سلامت
حیران ہوں ، کیسے ہے یہ گھربار سلامت

صد شکرکہ اِس دور ِگرانی میں ابھی تک
دل میں ہے تمناوں کا بازار سلامت

ہر وقت جسے اپنی ہزیمت کا ہو خدشہ
رہتا نہیں ، وہ لشکر ِ جرار سلامت

کیوں دل ہوکسی دھوپ کےطوفاں سےہراساں
سر پر ہے مرے سایہ ء اشجار سلامت

یہ کیسے مرے شہر کے حالات ہوئے ہیں
محفوظ ، مسیحا ہے نہ بیمار سلامت

دشمن مجھےمغلوب کبھی کر نہ سکے گا
جب تک ہے مرا جذبہ ء یلغار سلامت

کیوں محفل ِعشرت کی طرب خیزفضا میں
یاور ہے مری روح کا آزار سلامت

Aaj Itne Barso Ke Baad...!!!

Aaj Itne Barso Ke Baad,
Jaise Kayi Sadiyon Ke Baad,
Usne Kaha Suno
Ab Se Tum Aazaad Ho,

Qafas Khulte Hi,
Par Tolte Panchhi,
Main Udun Kis Tarah Magar,
Usne Noch Dale The Mere Par,

Dabi Hui Hasratein,
Na Tamam Khwahishein,
Puri Karun Kis Tarah Magar,
Na Ab Waqt Hai Na Nazar,

Dilke Goshon Mein Nahin,
Khwabon Ki Reshmi Doriyan,
Sapna Bunun Kis Tarah Magar,
Sulajhti Nahi Dooriyan Ulajh Kar,

Rasta Chalna Bhool Kar,
Ab Jaun Main Kis Dagar,
Ulti Ho Gayi Sab Tadbeerein,
Phir Pehen Li Ab Zanjeerein.

Log milte hai aur phir...!!!

Log milte hai aur phir ek dusre ke
kareeb aate hai.
Aur kareeb aakar aksar juda ho jate?
Agar juda hona hi hai toh log milte kyu
hai....?♥♥♥

Monday, 6 February 2012

Muhabbaton ka nasha ab...!!!

Muhabbaton ka nasha ab utarny wala hy
Main janti hon k manzar bdalny wala hy

Main wada karti hon tum b wafa ka ehd kro
Rafaqaton ka zamana guzarny wala hy
...
Tumhare tarz-e-tabas'sum ne bakhsh di hy hayat
Wagar'na dil mera kis se behelny wala hy

Chaly b aao k hasti ka meri sheeraza
Gham-e-hayat se ab to bikharny wala hy

Wo be'wafa talab-e-ghair me hy sargar'daaN
Mere lye wo bhala kab theherny wala hy

Tamaam khwab jazeeroN pe ZAAT dhond rahi
Mehez gumaan tha soraj nikalny wala hy

Us Ki Jaam-E-Jam Aankhe...!!!

Us Ki Jaam-E-Jam Aankhe Shisha-E-Badan Mera
Us Ki Band Mutthi Main Saara Baankpan Mera

Aao Aaj Ham Dono Apna Apna Ghar Chun Le
Tum Tabaah-E-Dil Le Lo Khitta-E-Badan Mera

Main Ne Apne Chehre Pe Sab Hunar Sajaaye The
Faash Kar Gaya Mujh Ko Saada Pairahan Mera

Dil Bhi Kho Gaya Shayad Shahar Ke Surabon Main
Ab Meri Tarah Se Hai Dard Bevatan Mera

Ek Dasht-E-Khamoshi Ab Mera Muqaddar Hai
Yaad Besada Teri Zakhm Bechaman Mera

Roz Apni Aankho Ke Khwab Khun Karta Hoon
Haaye Kin Ganimo Se Aa Pada Hai Ran Mera

Magrabi Hawa Ne Phir Ye Sandesha Bheja Hai
Muntazir Tumhara Hai Khushbuon Ka Ban Mera

Dard mein dard ka ehsaas.....!!!

Dard mein dard ka ehsaas kahan hota hay
Dard hota hay magar jaane kahan hota hay

Aap kyun poochte hain dard ki haalat mujh se
Ek jagah ho to bata doon ke yahan hota hay

Aap aaein to sakoon, aap na aaein to sakoon
Dard mein, dard ka ehsaas kahan hota hay

Aap barham hi sahi baat to keeje ham se
Kuch na kehne se muhabbat ka guman hota hay

Waqt ki baat hay yaa un ki inaayat hay Samar
Main yahan hoon aur mera zik'r wahan hota hay

“Kabhi Jazbon Kabhi ...!!!

“Kabhi Jazbon Kabhi Khawabon Ki Tijarat Kar K”
“Dil Ne Dukh Dard Kamaye Hain Muhabbat Kr K”

“Tum Jab Aao Gay To Mehfooz Milain Gay Tum Ko”
“Hum Ne Dafnaye Hain Kuch Khawab Amanat Kar K”

“Ek Zara Si Bhol Hui Or Usy Kho Bethy”
“Hum Ne Paya Tha Jise Barson Ibadat Kar K

Saturday, 4 February 2012

Kagaz ki kashti thi...!!!

Kagaz ki kashti thi,pani ka kinara tha.

Khelne ki masti thi,dil ye awara tha.

Kahan aa gaye is smjhdari k daldal me

wo nadaan bachpan hi kitna pyara tha......!

Saturday, 28 January 2012

!!!!AWAZ HAMEIN TUM DAY LEINA!!!!!!

!!!!AWAZ HAMEIN TUM DAY LEINA!!!!!!
JAB DIL MEIN DARD KA DARIYA BAHE
JAB NA KISI KO PAAS E WAFA RAHE
KOI KUCH KAHE TUMHEIN YA NA KAHE
AWAZ HAMEIN TUM DAY LAINA!!!

DIL MEIN JAB IHSAS E NADAMAT JAAGE
AUR HAGAMON SE DUNIYA K DOOR BHAAGE
KISI KAAM MEIN BHI TUMHARA DIL NA LAAGE
AWAZ HAMEIN TUM DAY LEINA!!!!!!!!!

JAB YE LAGNE LAGAY K KUCH KHO GAYA HO
JAISE DIL MEIN KOI NASHTAR CHABHO GAYA HO
AUR MUJHAY KHONE KA IHSAS HO GAYA HO
AWAZ HAMEIN TUM DAY LEINA!!!!!!!
AWAZ HAMEIN TUM DAY LEINA:::::::::::::::

Jany Waly...!!!


Log aik phool se.............!!!!!!

Log aik phool se Izhar-e-wafa kar lete hain,
"DOST"
Hum ne phoolon se apni Qabar sajadi phir bhi wo na maane.!!!

main ne is taoor se chaha tujhe...!!!

main ne is taoor se chaha tujhe aksr jana
jese mahtab ko be'ant samundar chahy
jese sooraj ki kiran seep k dil me utry
jese khushbu ko hawa rang se hat kr chahy

...jese pathar k kalaijy se kiran phot'ti hy
jese ghunchy khuly mosam se hina mangty hain
jese khwabon me khyaloan ki kamaan tot'ti hy
jese barish ki dua aabla'pa mangty hein

mera hr khwab mere such ki gawahi de ga
wus’at-e-deed ne tujh se teri khwahish ki hy
meri sochoan me kabi dekh sarapa apna
main ne dunia se alag teri parastish ki hy

khwahis-e-deed ka mosam kabi dhundla jo hua
noch daali hain zamany ki naqabain main ne
teri palkon pe utarti hoi subho k lye
toor daali hain sitaron ki tanabain main ne

main ne chaha k tere husn ki gulnaar fiza
meri ghazlon ki qataron se mehekti jaye
main ne chaha k mere fun k gulistan ki bahar
teri ankho k gulabon se mehekti jaye

ty to ye tha k sajata rahy lafzoan ke kanwal
mere khamosh khyalon me takal'lum tera
raqs krta rahy
bharta rahy
khushbu ka khumaar
meri khwahish k jazeeroan me takal'lum tera

tu mgr ajnabi mahol ki parwardah kiran
meri bujhti hoi raton ko sehr kr na ski
teri sanson me maseehai to thi lekin tu b
chara-e-zakhm-e-gham-e-deeda-e-tar kr na ski

tujh ko maloom hi kab hy k ksi dard ka daagh
aankh se dil me utar jaye to kya hota hy
tu k seemab tabiyat hy tujhe kya maloom
mosam-e-hijr thehr jaye to kya hota hy

tu ne us moor pe tora hy ta’luq k jahan
dekh skta nahi koi b palat kr jana
ab ye aalam hy k ankhain jo khulain gi apni
yaad aye ga teri deed ka manzar jana

mujh se maangy ga tere ehd-e-mohobbat ka hisab
tere hijran ka dehekta hoa mehshar jana
yon mere dil k barabar tera gham aya hy
jese sheeshy k muqabil koi pathar jana

jese mahtaab ko be'ant samundar chahy
main ne is toor se chaha tujhe aksr jana...!!

Wednesday, 25 January 2012

Shaam ko yaadon k aangan...!!!

Shaam ko yaadon k aangan mein utar jata hoon
Aur is bazm se phir waqt-e-sehar jata hoon

Mujh ko maqsood hai har haal mein rahat teri
Bojh hoon agar,tau tere dil se utar jata hoon

Main tau qaayem hoon faqat teri kashish k baa'is
Teri sarhad se jo nikloon tau bikhar jata hoon

Gumbad-E-Zaat se jo sada aati hai
Shab ki tanhai mein jo sunta hoon tau darr jata hoon

Main tau qaayem hoon ehd-e-wafa par apnay
Gar tujhe raas nahin hai tau mukar jata hoon...

kabhi tarrap utha meri aah se...!!!

kabhi tarrap utha meri aah se
Kabhi ashk se na pighal saka
Sar e rah mila wo agar kabhi
To nazar jhuka k guzar gya
Wo uter gya meri aankh se
Meray dil se kyun na uter saka
Wo chala gya jahan chorr k
Main waha se phir na palat ska
Wo sanbhal gya tha mgar
Main bikhar k phir na simat saka

Ab jo bicheray hain tow ahsaas hua hai...!!!

"FAIZ AHMED FAIZ"

Ab jo bicheray hain tow ahsaas hua hai hum ko
Derd kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Chaar soo gonjti ruswayi kisey kehtay hain
Ab jo bicheray hain tow ahsaas hua hum ko

Koi lamha ho teri yaad mey kho jatay hain
Ab tow khud ko bhi muyassir nahi aa patay hain
Raat ho din ho tere pyar mey hum behtay hain

Derd kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Ab jo bichre hain tow ahsaas hua hai hum ko

Jo bhi ghum aaye usay dil pe saha kertay thay
Aik wo wakt tha hum mil ke raha kertay thay
Ab akelay hee zamanay ke sitam sehtay hain

Derd kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Ab jo bichre hain tow ahsaas hua hai hum ko

Hum ne khud apnay hee rustay mey bichaye kaantay
Gher mey pholon ki jaga lakay sajaye kaantay
Zakhm is dil mey basaye huay khud rehtay hain

Derd kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Ab jo bichre hain tow ahsaas hua hai hum ko

Yun tow duniya ki her aik cheez haseen hoti hai
Pyar se berh ke mager kuch bhi nahi hoti hai
Raasta rok ke her aik se yehi kehtay hain

Ab jo bicheray hain tow ahsaas hua hai hum ko
Derd kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Chaar soo gonjti ruswayi kisey kehtay hain
Ab jo bicheray hain tow ahsaas hua hum ko

Muddat K Baad Dekha Usay...!!!

Muddat K Baad Dekha Usay Badli Hui Thi Woh,
Najanay Kiya Hadsa Hua Sehmi Hui Thi Woh,

Mujhe Dekh Kar usnay Chehra Toh Chupa Liya,
Magar Aankhein Bata Rahi Thin K Royi Hui Thi Woh,

Uski Aankhon Mein Dekh Kar Mehsoos Hua Mujhe,
Meri Tarah Kissi Soch Mein Doobi HUi Thi Woh,

Uski Sone Jaisi Rangat Zarad Parh Gayi Thi,
Jaise Kissi K Pyaar Mein Jali Hui Thi Woh,

Qurbaan Jaoun Us Shakhs Par Main,,,,,,
Yaad Mein Jiski Khoyi Hui Thi Woh............!!!!

Main Logon Se Mulaqaton K...!!!

Main Logon Se Mulaqaton K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon

Main Baatainn Bhuul Bhi jaon
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon

Sar-e-Mehfil Nigahain Mujh Pe
Jin Logon Ki Parti Hyn

Nigahon k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon

Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwayat Se

K Jin Pe Bojh Main Daalon
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon...!!

Monday, 23 January 2012

Mohabbat Mein Tamanna....!!!

Mohabbat Mein Tamanna Kufr Hai Esa Nahi Karte,
Kisi Tajir Ki Tarha Ishq Mein Sauda Nahi Karte.

Sawal Uthne Lage Hain Phir Maseehai Ke Bare Mein,
Agar Ho Charagar To Kyon Hume Achcha Nahi Karte.

Naqab e Rukh Ulat Do Aeene Se Yun Na Sharmao,
Ke Mehram Se Kabhi Mehram Kaheen Parda Nahi Karte.

Na Ho Mayoos Ae Zoq e Junoon Too Bo’ud e Manzil Se,
Mohabbat Karne Wale Rah Mein Thera Nahi Karte.

Duhai De Rha Hai Kyon Faqeeh e Shaher Azmat Ki,
Nasab Wale Kaheen Kya Ishq Farmaya Nahi Karte.

Misaal e Mahi e Be Aab Meri Jaan Nikal Jaati,
Are Itna Taghaaful Aap Yeh Achcha Nahi Karte.

Hua Jo So Hua Manzar Miyan Khak Bhi Dalo,
Gae Waqton Ki Baten Hain Unhe Socha Nahi Karte

Abhi Na Kuch Bhi Tum Bolo....!!!

Abhi Na Kuch Bhi Tum Bolo,Abhi Khaamosh Rehna Hai
Boht Main Zabt Kr Betha Abhi Kuch Mujh Ko Kehna Hai

Chupaye Kab Se Phirta Hun Main Apna Karb Seenay Me
Abhi Is Karb Ko Janaan Meri Aankhon Se Behna Hai

Najanay Kaun Deta Hai Sada Ye Dil Ke Andar Se
Tera Dukh Hai Faqat Tera,Isay Khud Tum Ne Sehna Hai

Saja Lay Apnay Honton Pr Tuu Zewar Muskurahat Ka
Boht Mehngay Zamanay Me, Boht Sasta Ye Gehna Hai

ab ke us ki ankhon mien....!!!

ab ke us ki ankhon mien
besabab udaasi thi
abh ke us ke chehray per
dukh tha...behawasi thi

abh ke yun mila mujh se
yun ghazal suni...jese
mein bhi na_shanasa hoon
wo bhi ajnabi jesse

zard khaal o khad uss ke
sogawar daman tha
abh ke uss ke lahjay mein
kitna khudra pan tha

wo ke umer bhar jis ne
shahr bhar ke loogon mien
mujh ko hum sukhan jana
khud se mehrban samjha
mujh ko "Dilruba" likha

abh ke sada kaghaz per
surkh roshnai se
us ne talkh lahjay mein
mere naam se pehle!
sirf "Bewafa" likha

Sab apni zaat ke izhaar ka.....!!!

Sab apni zaat ke izhaar ka tamasha hai
Wagar na kon yahan paaniyon pe chalta hai

Tamaam umar ki naghma-garii ke baad khula
Ye shahar apni samaat main sang jaisa hai

Ussay bhi dhang na aaye ga baat kerny ka
Mujhay bhi arz-e-hunar ka kahan saleeqa hai

Mera wajood hai or be-shumaar aankhain hain
Ye saara shahar hai or uss main ek chehra hai

Chatton se dhoop to ruktii hai bukh taltii nahin
Talaash-e-rizq main ghar se nikalna perta hai

Kaha nahin tha tujhay iss ke saath saath na chal
Hawa ke saamnay kis ka chiraagh jalta hai

Khwaab aankhoon mein...!!!

Khwaab aankhoon mein chubhoo kar dekhoon
kaash mein bhi kabhi soo kar dekhoon

shayed ubhre teri tasweer kaheen
mein teri yaad mein ro kar dekhoon

is khowaish mein mita jata hoon
tere paoon teri thokar dekhoon

ashuk hain wehum ki shbnum k lahoo?
apni palkoon mein tu bhigo kar dekhoon

kaisa lagta ha bichar k milna....?
mein achanak tujhe kho kar tou dekhoon

ab kahaan apne girebaan ki bahaar?
taar mein zakhum peroo kar dekhoon

mere hone say na hona behtar
tou jo chahe,tera ho kar dekhoon?

rooh ki gurd say pehlay Monis!
daagh damun ka tou dhoo kar dekhoon...

Aap ko thi piyari ana , sahib....!!!

Aap ko thi piyari ana , sahib
ham hi kartay rahay wafa sahib

zakhm khayay hen jo muhabbat mein
kitna detay hen ye maza , sahib

Shanon pe gaisoo hen yon bikhray
jaisay sawan ki ho ghata , sahib

Kiun rooth gayay ho ham say
kia hoi ham say khata, sahib

Shairy jo ham kartay hen
aap ki hay ye ataa , sahib

Shayed khabar hay unkay aanay ki
taroon mein hay ziyaa , sahib

Unka milna nahi hay qismat mein
kia kisi say karen ham gila, sahib

Sar e tasleem kham karta hon
meray maola ki jo raza , sahib

Nahin khaof mujhko dushman ka
sath meray hay KHUDA , sahib

Sar sajday mein ho,maot aayay
darwaish ki hay ye duaa , sahib


Bohat hi yaad aata hai...!!!

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

teri awaaz k sehar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon

bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai

magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai

tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai

Kisi ki aankh se sapne ....!!!

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta

Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai
Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta

Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta

Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta

Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai
Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta

Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi
Ae dil Be'faiz logon se nibah kar kuch nahi milta

"Kanch Ki Gudiya".....!!!

"Kanch Ki Gudiya"

Choti si woh nazuk si

ik Alhar si mutiyar thi woh

khilte hue phoolon ki tarha
taroon ki chamak
aur hoonton ki muskaan thi woh
kehte the sab woh"Pagal"hai
phir
kyun us se maan behlate the
woh apne dil ka dard chupa ker
hoonton ko see leti thi
phir chupke chupke ansoo ko Daman main
chupa ker hansti thi
woh khilti thi
mehakti thi
aur phir se murjhati thi
woh lamha lamha har ke bhi
Auron ko jeeta ker jati thi
woh Nazuk thi
Sau toot gaye
Woh bikhar gaye
phir jur na saki
kehte hain sab
Woh
"Kanch Ki Gudiya Thi"

Wednesday, 18 January 2012

Dar-E-Nayaab Ki Tamseel....!!!

Dar-E-Nayaab Ki Tamseel Hai Uski Aankhien,
Aaina Hai To Kabhi Jheel Hai Uski Aankhein,

Khud Main Us Shaks Ki Tasveer Ba-Zahir Dekhun,
Meri Aankhon Mein Jo Tehweel Hai Uski Aankhein,

Ghar Mumkin Hai Kisi Tarah Bhatak Jaun Main,
Raah-E-Ehsaas Main Qandeel Hai Uski Aankhein,

Humne Dekha Hai Samundar Ki Tahoon Mein Jaakar,
Dar-E-Irfaan Ki Zanbeel Hai Uski Aankhein,

Jiski Taujeeh Na Kar Paayi Ho Kisi Ne Bhi EHSAN,
Is Mazmoon Ki Tafseel Hai Uski Aankhein...

Aisi Hi Sard ShaaM Thi Wo Bhi....!!!

Aisi Hi Sard ShaaM Thi Wo Bhi,
Jab Wo Mehendi Rachaye Haathon Mein,
Apni Aahat Ke Khauf Se Larazaan,
Surkh Aanchal Mein Muh Chhipaye Hue,
Apne Khat Mujhse Lene Aayi Thi,
Uski SehMi Hui Nigahon Mein,
Kitni KhaMosh Iltijayein Thi,
Uske Chehre Ki Zard Rangat Mein,
Kitni Majburiyonke Saye The,
Mere Hathonse Khat Pakadate Hi,
Jane Kay Soch Kar Achanak Wo,
Mera Shaana Pakad Kar Royi Thi,
Uske Yaaquut Rang Honthon Ke,
Kapkapaate Hue Kinaro Par,
Sekdon Ankahe Fasane The,
Sard ShaaMon Mein Der Tak Aksar,
Jab Ye Manzar Dikhayi Deta Hai,
Ek LaMha Heenayi Haathon Se,
Mujhko Apni Taraf Bulata Hai,
HuMnashin Ruth Kar Na Ja Mujhse,
Aisi Hi Sard ShaaM Thi Wo Bhi...

Shab-e-Intezaar....!!!

Shab-e-Intezaar

Sardion ki Raaton Mai
Jis Samey B Jam Jaaye

Or Dil ki Baaton Mai
Aarzoo Theher Jaaye

Ajnabee Musafir K
Intezaar ki Shamein

Sard Sard Jhonkon Se
Phadphadaane Lag Jaayein

Apne Sard Shaanon Per
Rakh k Sar ko Mat Rona

Tum Udaas Mat Hona!!!

Q Usko baar Baar Apna...!!!

"Q Usko baar Baar Apna Bananay Ki Ghalti Krty Ho"

"imran"

Jis Nay Teri Wafaon Ko Na Samjha Wo Tujhe Kia Samjhay Ga,,;

Monday, 16 January 2012

Tum poocho aur main...!!!

Tum poocho aur main na batau aese to halat nahi
Ek zara sa dil toota hai aur to koi baat nahi

Kis ko khabar thi sawale baadal bin barse ud jaate hai
sawan aaya lekin apni kismat mein barsaat nahi

mana jivan mein aurat ek baar mohabbat karati hai
lekin mujhko ye to bataa de kyaa tu aurat zaat nahi

Friday, 13 January 2012

Rukhsat howa to aankh mila ker nahen gya...!!!

Rukhsat howa to aankh mila ker nahen gya
Woh kion gya hai yeh bhi bata ker nahen gya
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~**~*~*~*
~*~*

Woh yoon gya keh bad-e saba yaad aa gai
Ahsaas tuk bhi hum ko dila ker nahen gya
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~**~*~*~*~*~*

Yoon lug raha hy jaisy abhi laut aayega
Jaty howy charagh bujha ker nahen gya
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~**~*~*~*~*~*

Bus ik lakeer khench gya darmiyan mein
Deewar rasty mein bna ker nahen gya
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~**~*~*~*~*~*

Shaa'id woh mil hi jay mager justojoo hy shart
Woh apny naqsh-e paa to mita ker nahen gya
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~**~*~*~*~*~*

Gher mein hy aaj tuk wohi khushboo basi hoi
Lagta hy yoon keh jaisy woh aa ker nahen gya
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~**~*~*~*~*~*

Tub tuk to phool jaisi hi taza thi us ki yaad
Jub tuk woh patioon ko juda ker nahen gya
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~**~*~*~*~*~*

Rehny diya na us ny kisi kaam ka mujhy
Aur khaak mein bhi mujh ko mila ker nahen gya
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~**~*~*~*~*~*

Waisi hi be-talab hy abhi meri zindagi
Woh khar-o-khus mein aag lga ker nahen gya
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~**~*~*~*~*~*

Shehzad yeh gila hi raha us ki zaat sy
jaty howy woh koi gila ker nahen gya
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~**~*~*~*~*~*

Thursday, 12 January 2012

Us Bewafa Se hath milane Ke...!!!



Bhooly Se Meri Simt Koi Dekhta Na Tha


Chehry Pe Ek zakham Lagana Para Mujhe


Us Ajnabi Se hath milane Ke Waste


Mehfil Mein Sab se Hath Milana Para Mujhe


Us Bewafa Ki Yaad Dilata Tha Bar Bar


Kal Aainy Par Hath Ithana Para Mujhe


Wo Kar Nahi Raha Tha Meri Baat Ka Yaqeen


Phir Yun Hua Ke mar Ke dikhana Para Mujhe

Udas Main Tha Sara Shehar Roney Laga...!!!



Udas Main Tha Sara Shehar Roney Laga,
aaj mera sanam kisi or ka honey laga,

mera chain khoney laga mujhe dard sa honey laga,
jo mera humdard tha yaaro wo kisi or ka honey laga,

wafa ka paikar tha sanam mera,
janey kyun bewafa honey laga,

sansen rukne lagi dil b roney laga,
mera pyaar kisi or ka honey laga...

Dard Itna Hai Ka...!!!


Kisi ka ishq Kisi Ka...!!!

Kisi ka ishq kisi ka khayal thay hum bhi

Gaye dinon mein bohat ba kamal thay hum bhi

Hamari khoj mein rehti thein titliyan aksar

K apny shehr ka husn-o-jamal thay hum bhi

Zameen ki goad mein sar rakh k so gaye akhir

Tumhary hijr mein kitny nidhal thay hum bhi

Hum aks aks bikharty rahay isi dhun mein

K zindagi mein kabhi laziwal thay hum bhi

Kisi ki yad ne hum ko nikmma kar dia Ghalib

Warna aadmi to be misal thay hum bhi..

Wednesday, 11 January 2012

WOH REH NA PAYE IK...!!!

WOH REH NA PAYE IK PAL BHI MERE BINA,
AYE KHUDA USKO MERI AADAT C KARDE..

ITNA TOOT KE CHAHOON MAIN USKO,
KE MERI CHAHAT KO USKI IBADAT C KARDE..

KOI CHOO NA PAYE APNE KHAYALAT MEIN BHI USKO,
HAR IK KE ZEHEN MEIN USKI HIFAZAT C KARDE..

BAND AANKH MEIN BHI DEKH PAON MEI USKO,
MERI AANKHON KO AISI IJAZAT C KARDE..

RAKHON GA KHAYAL USKA UMAR BHAR KE LIYE,
BUS AB WOH APNE AAP KO MERI AMANAT C KARDE.....