"FAIZ AHMED FAIZ"
Ab jo bicheray hain tow ahsaas hua hai hum ko
Derd kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Chaar soo gonjti ruswayi kisey kehtay hain
Ab jo bicheray hain tow ahsaas hua hum ko
Koi lamha ho teri yaad mey kho jatay hain
Ab tow khud ko bhi muyassir nahi aa patay hain
Raat ho din ho tere pyar mey hum behtay hain
Derd kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Ab jo bichre hain tow ahsaas hua hai hum ko
Jo bhi ghum aaye usay dil pe saha kertay thay
Aik wo wakt tha hum mil ke raha kertay thay
Ab akelay hee zamanay ke sitam sehtay hain
Derd kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Ab jo bichre hain tow ahsaas hua hai hum ko
Hum ne khud apnay hee rustay mey bichaye kaantay
Gher mey pholon ki jaga lakay sajaye kaantay
Zakhm is dil mey basaye huay khud rehtay hain
Derd kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Ab jo bichre hain tow ahsaas hua hai hum ko
Yun tow duniya ki her aik cheez haseen hoti hai
Pyar se berh ke mager kuch bhi nahi hoti hai
Raasta rok ke her aik se yehi kehtay hain
Ab jo bicheray hain tow ahsaas hua hai hum ko
Derd kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Chaar soo gonjti ruswayi kisey kehtay hain
Ab jo bicheray hain tow ahsaas hua hum ko
No comments:
Post a Comment