Saturday, 28 January 2012

main ne is taoor se chaha tujhe...!!!

main ne is taoor se chaha tujhe aksr jana
jese mahtab ko be'ant samundar chahy
jese sooraj ki kiran seep k dil me utry
jese khushbu ko hawa rang se hat kr chahy

...jese pathar k kalaijy se kiran phot'ti hy
jese ghunchy khuly mosam se hina mangty hain
jese khwabon me khyaloan ki kamaan tot'ti hy
jese barish ki dua aabla'pa mangty hein

mera hr khwab mere such ki gawahi de ga
wus’at-e-deed ne tujh se teri khwahish ki hy
meri sochoan me kabi dekh sarapa apna
main ne dunia se alag teri parastish ki hy

khwahis-e-deed ka mosam kabi dhundla jo hua
noch daali hain zamany ki naqabain main ne
teri palkon pe utarti hoi subho k lye
toor daali hain sitaron ki tanabain main ne

main ne chaha k tere husn ki gulnaar fiza
meri ghazlon ki qataron se mehekti jaye
main ne chaha k mere fun k gulistan ki bahar
teri ankho k gulabon se mehekti jaye

ty to ye tha k sajata rahy lafzoan ke kanwal
mere khamosh khyalon me takal'lum tera
raqs krta rahy
bharta rahy
khushbu ka khumaar
meri khwahish k jazeeroan me takal'lum tera

tu mgr ajnabi mahol ki parwardah kiran
meri bujhti hoi raton ko sehr kr na ski
teri sanson me maseehai to thi lekin tu b
chara-e-zakhm-e-gham-e-deeda-e-tar kr na ski

tujh ko maloom hi kab hy k ksi dard ka daagh
aankh se dil me utar jaye to kya hota hy
tu k seemab tabiyat hy tujhe kya maloom
mosam-e-hijr thehr jaye to kya hota hy

tu ne us moor pe tora hy ta’luq k jahan
dekh skta nahi koi b palat kr jana
ab ye aalam hy k ankhain jo khulain gi apni
yaad aye ga teri deed ka manzar jana

mujh se maangy ga tere ehd-e-mohobbat ka hisab
tere hijran ka dehekta hoa mehshar jana
yon mere dil k barabar tera gham aya hy
jese sheeshy k muqabil koi pathar jana

jese mahtaab ko be'ant samundar chahy
main ne is toor se chaha tujhe aksr jana...!!

No comments:

Post a Comment