Dareche Se Jhankti Woh Larki Ajab Dukh Se Bhari Hoi Hai
Us Ke Angan Mein Phool Par Aik Titli Mari Hoi Hai
Kabhi Azaanoon Mein Khoyi Khoyi, Kabhi Namazon Mein Roi Roi
Woh Aise Dunya Ko Dekhti Hai K Jaise Is Se Dari Hoi Hai
Dard Se Mehki Mehki Sansain, Wazeefa Parhti Hoi Woh Ankhen
K Woh Shama Umeed In Mein Kahi Baras Se Dhari Hoi Hai
Woh Dukh Ki Chadar Mein Lipti Lipti, Woh Kaale Kapron Mein Simti Simti
Mohabbat Is Ne Kisi Se Shayed Meri Tarah Hi Kari Hoi Hai
Bade Zamanon Ke Bad Barsi Hain Meri Ankhen Kisi Ki Khatir
Bade Zamanon Ke Bad Dil Ki Zameen Phir Se Hari Hoi Hai

No comments:
Post a Comment