"Kanch Ki Gudiya"
Choti si woh nazuk si
ik Alhar si mutiyar thi woh
khilte hue phoolon ki tarha
taroon ki chamak
aur hoonton ki muskaan thi woh
kehte the sab woh"Pagal"hai
phir
kyun us se maan behlate the
woh apne dil ka dard chupa ker
hoonton ko see leti thi
phir chupke chupke ansoo ko Daman main
chupa ker hansti thi
woh khilti thi
mehakti thi
aur phir se murjhati thi
woh lamha lamha har ke bhi
Auron ko jeeta ker jati thi
woh Nazuk thi
Sau toot gaye
Woh bikhar gaye
phir jur na saki
kehte hain sab
Woh
"Kanch Ki Gudiya Thi"
No comments:
Post a Comment