Sab apni zaat ke izhaar ka tamasha hai
Wagar na kon yahan paaniyon pe chalta hai
Tamaam umar ki naghma-garii ke baad khula
Ye shahar apni samaat main sang jaisa hai
Ussay bhi dhang na aaye ga baat kerny ka
Mujhay bhi arz-e-hunar ka kahan saleeqa hai
Mera wajood hai or be-shumaar aankhain hain
Ye saara shahar hai or uss main ek chehra hai
Chatton se dhoop to ruktii hai bukh taltii nahin
Talaash-e-rizq main ghar se nikalna perta hai
Kaha nahin tha tujhay iss ke saath saath na chal
Hawa ke saamnay kis ka chiraagh jalta hai
No comments:
Post a Comment